Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 24

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Imama! Jaldi se Tayyar ho jao” Rabiya ne apni almari se apna ek suit nikal kar bed par phenkte hue kaha.

Imama ne kis qadr hairani se use dekha “Kis liye Tayyar ho jaun?”

“Bhai, shopping ke liye sath ja rahe hain, sath chalo.” Rabiya ne usi tez raftaari ke sath press ka plug nikalte hue kaha.

“Nahi mujhe kahin nahin jana.” Usne ek baar phir apni aankhon par apna bazu rakhte hue kaha. Wo apne bistar par leti hui thi.

“Kya matlab hai…. Mujhe kahin nahin jana…… Tum se puch kaun raha hai…… Tumhein bata rahe hain.” Rabiya na usi lehje mein kaha.

“Aur main ne bata diya hai, main kahin nahin ja rahi.” Usne aankhon se bazu hataye baghair kaha.

“Zainab bhi chal rahi hai hamare sath, pura group ja raha hai, film bhi dekhenge wapsi par.” Rabiya ne program batate hue kaha.

Imama ne ek lehze ke liye apni aankhon se bazu hata kar use dekha. “Zainab bhi ja rahi hai?”

“Haan, Zainab ko ham raaste se pick karenge.”Imama kisi soch me doob gayi.

“Tum bahot dull hoti ja rahi ho Imama!” Rabiya ne qadre narazgi ke sath tabsara kiya.

“Hamare sath kahin aana jana chod diya hai tum ne, Aakhir kya hota jaraha hai tumhein?”

“Kuch nahin, bas aaj kuch thaki hui hoon isliye sona chah rahi hoon.”Imama ne bazu hata kar use dekhte hue kaha.

Thodi der baad Jaweriya bhi andar aa gayi aur wo bhi use sath chalne ke liye majboor karti rahi. Magar Imama ki zabaan par ek hi rat thi. “Nahin mujhe sona hai, main bahot thak gayi hoon.” Wo majbooran use bura bhala kehte hue wahan se chali gayin.

Raste se unhon ne Zainab ko pick kiya aur Zainab ko pick karte hue Jaweriya ko yaad aaya ke uske bag ke andar wallet nahin hai, wo use hostel me hi chod aayi thi.

“Wapas hostel chalte hain, wahan se wallet le kar phir bazar chalen ge.” Jaweriya ke kehne par wo log dobara hostel chali aayin, magar waha aakar unhein hairani ka samna karna pada kyun ke kamre ke darwaze par tala laga hua tha.

“Ye Imama kahan hai?” Rabiya ne hairani se kaha.

“Pata nahin, kamra lock kar ke is tarah kahan ja sakti hai. Wo to keh rahi thi ke use sona hai.” Jaweriya ne kaha.

“Hostel me to kisi ke room me nahi chali gayi?” Rabiya ne khayal Zahir kiya. Wo dono agle kayi minute un waqif ladkiyon ke Kamron mein jati rahin jin se unki hello hi thi magar Imama ka kahin pata nahin tha.

“Kahin hostel se bahar to nahin gayi?” Rabiya ko achanak se khayal aaya.

“Aao warden se puch lete hain.” Jaweriya ne kaha. Wo dono warden ke paas chali aayin.

“Haan, Imama abhi kuch der pehle bahar gayi hai.”Warden se enquiry par pata chala. Jaweriya aur Rabiya ek dusre ka munh dekhne lagin.

“Wo keh rahi thi shaam ko aayegi.” Warden ne unhein mazeed bataya. Wo dono warden ke kamre se nikal aayin.

“Ye gayi kahan hai? Hamare sath to jane se inkaar kar diya tha ke use sona hai aur wo thaki hui hai aur uski tabiyat kharab hai. Aur ab is tarah ghayab ho gayi hai.” Rabiya ne uljhe hue andaaz mein kaha.

Raat ko wo qadre late wapas aayin aur jis waqt wo wapas aayin, Imama kamre mein maujood thi. Usne ne muskurate hue dono ka isteqbaal kiya.

“Lagta hai khasi shopping hui hai aaj.” Usne un dono ke hathon me pakde hue shoppers ko dekhte hue kaha.

Un dono ne uski baat ke jawab me kuch nahi kaha. Bas shoppers rakh kar use dekhne lagin.

“Tum kahan gayi thin?” Jaweriya ne usse pucha. Imama ko jaise ek jhatka laga.

“Main apna wallet lene wapas aayi thi to tum yahan nahin thin aur kamra locked tha.” Jaweriya ne usi andaz me kaha.

“Main tum logon ke piche gayi thi.”

“Kya matlab?” Jaweriya ne kuch na samajhne wale andaz me kaha.

“Tumhare nikalne ke baad mera irada badal gaya tha. Main yahan se Zainab ki taraf gayi kyun ke tum logon ko use pick karna tha, magar chaukidar ne bataya ke tum log pehle hi waha se nikal gaye ho, phir main wahan se wapas aa gayi. Bas raste mein kuch kitabein li thin main ne.”Imama ne kaha.

“Dekha, tum se pehle kaha tha ke hamare sath chalo magar us waqt tum ne fauran inkaar kar diya, Baad me be waqoofon ki tarah chal padin. Ham log to mashkook ho gaye the tumhare bare mein.” Rabiya ne kuch itmenaan se ek shopper kholte hue kaha.

Imama ne koi jawab nahin diya, wo sirf muskurate hue un dono ko dekhti rahi. Wo dono ab apne shoppers kholte hue kharidi hui chizen use dikha rahi thin.

Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-23/

Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-25/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *