Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 46

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Islam qubool karne ke baad usne pehli baar Jalaal Ansar ko tab qareeb se dekha jab ek din wo chaaron college ka lawn mein guftgu mein masroof thin, wo wahan kisi kaam se aaya tha. Rasmi alaik-salaik ke baad wo Zainab ke sath chand qadam door ja khada hua. Imama uske chehre se nazrein na hata saki. Ek ajab si masarrat aur sarkhushi ka ehsaas use ghere mein le raha tha.

Wo chand minutes Zainab se baat karne ke baad wahin se chala gaya. Imama uski pusht par nazrein jamaye us waqt tak dekhti rahi jab tak wo nazron se ojhal nahin ho gaya. Uske ird-gird baithi uski friends kya baat kar rahi thin, use us waqt koi ehsaas nahin tha. Jab wo nazron se ojhal hua to ekdam jaise dobara wo apne maahol mein wapas aa gayi.

Jalaal Ansar se uski dusri mulaqaat Zainab ke ghar par hui thi. Us din wo college se wapsi par Zainab ke sath uske ghar aayi thi. Zainab kuch dino se un sab ko apne haan aane ke liye keh rahi thi. Baqi sab ne koi na koi bahana bana diya tha, magar Imama us din uske sath uske ghar chali aayi thi. Uske ghar aa kar use ajeeb se sukoon ka ehsaas hua tha. Shayad is ehsaas ki wajah Jalaal Ansar se us ghar ki nisbat thi.

Wo drawing room mein baithi thi aur Zainab chai tayyar karne ke liye kitchen mein gayi thi jab Jalaal drawing room mein dakhil hua. Imama ko wahan dekh kar kuch chaunk gaya. Shayad use Imama ko wahan dekhne ki tawaqqo nahin thi.

“Assalamu Alaikum! Kya haal hai aapka?” Jalaal ne shayad is tarah be dhadak andar dakhil hone par apne jhenp mitane ke liye kaha. Imama ne rang badalte chehre ke sath uska jawaab diya.

“Zainab ke sath aayi hain aap?” Usne pucha

“Ji.”

“Zainab kahan hai. Main dar-asl use dhundhte hue yahan aa gaya. Mujhe pata nahin tha ke uski koi dost yahan maujood hai.” Kuch maazrat khwahaana lehje mein kehte hue wo palat gaya.

“Aap bahot achi naat padhte hain.”Imama ne be saakhta kaha. Wo thithak gaya.

“Shukriya.” Wo kuch hairaan nazar aaya. “Aap ne kahan suni hai?”

“Ek din main ne Zainab ko phone kiya tha jab tak phone hold raha mujhe aap ki aawaz aati rahi, phir Zainab se aap ke barey mein pata chala. Main us naatiya muqaable mein bhi gayi thi jahan aap ne wo naat padhi thi.”

Wo be-ikhteyaar kehti chali gayi. Jalaal ki samajh mein nahin aaya wo hairaan ho ya khush.

“Bahot achi to nahin, bas padh leta hoon Allah ke karam se.” Usne hairat ke us jhatke se sambhalte hue safed chadar mein lipti us dubli patli daraaz qaamat ladki ko dekha jis ki gehri siyaah aankhein koi bahot ajeeb sa ta’assur liye hue thin. Apni aawaz ki taareef wo bahot son se sun chuka tha magar is waqt us ladki ki taareef uske liye qadrey ghair maamuli thi aur jis andaaz se usne ye kaha tha wo usse bhi zyada ajeeb.

Wo palat kar drawing room se bahar nikal gaya. Wo waise bhi ladkiyon se guftgu mein mahaarat nahin rakhta tha aur phir ek aisi ladki se guftgu jis se wo sirf chehre ki had thak waaqif tha.

Imama ek ajeeb si masarrat ke aalam mein wahan baithi hui thi. Use yaqeen nahin aa raha tha ke usne Jalaal Ansar se baat ki thi. Apne saamne……khud se itne qareeb…….Wo drawing room ke darwaze se kuch aage carpet par us jagah ko dekhti rahi jahan wo kuch der pehle khada tha. Tasawwur k iaankh se wo use abhi bhi wahi dekh rahi thi.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-47/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 45



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *