Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 49

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Unki agli mulaqaat library mein hui thi. Is baar Imama use wahan maujood dekh kar be-ikhteyaar uski taraf chali gayi thi. Rasmi alaik-salaik ke baad Imama ne kaha.

“Main aap ka shukriya ada karna chahti thi.”

Jalaal ne hairani se use dekha. “Kis liye?”

“Us casette ke liye jo aap ne record kar ke bhijwayi thi..” Jalaal muskuraya

“Nahin, iski zaroorat nahin. Mujhe andaaza nahin tha ke koi kabhi mujh se aisi farmayish kar sakta hai.”

“Aap bahot khush qismat hain.”Imama ne maddham andaz mein use dekhte hue kaha.

“Main……kis hawale se?” Jalaal ne ek baar phir hairaan hote hue pucha.

“Har hawale se……… Aap ke paas sab kuch hai.”

“Aap ke paas bhi to bahot kuch hai.”

Wo Jalaal ki baat par ajeeb andaaz mein muskurayi. Jalaal ko shubah hua ke uski aankhon mein kuch nami namoodaar hui thi magar wo yaqeen se nahin keh sakta tha. Wo ab nazrein jhukaye hue thi.

“Pehle kuch bhi nahin tha, ab waqai sab kuch hai.” Jalaal maddham andaaz mein use kehte suna. Wo na samajhne wale andaaz mein use dekhna laga.

Aap itni mohabbat se Rasool ﷺ ka naam lete hain to main sochti hoon ke……..”Usne apni baat adhoori chod di. Jalaal khamushi se uski baat mukammal hone ka intezaar karta raha.

“Mujhe aap par rashk aata hai” Chand lamhe baad wo aahista se boli.

“Sab logon ko to is tarah ki mohabbat nahin hoti jaisi mohabbat aap ko Hazrat Mohammad ﷺ se hai. Ho bhi jaye to har koi is tarah us mohabba tka izhaar nahin kar sakta ke dusre bhi Rasool ﷺ ki mohabbat mein giraftaar hone lagen. Mohammad ﷺ ko bhi aap se badi mohabbat hogi.” Usne nazrein uthayin. Uski aankhon mein koi nami nahin thi.

“Shayad mujhe wahem hua tha.” Jalaal ne socha

“Ye main nahin jaanta, agar aisa ho to main waqai bahot khush qismat insaan hun. Main to sirf ye jaanta hoon ke mujhe waqai Huzoor Akram ﷺ se badi mohabbat hai. Mujh jaise logon ke liye itna hi kaafi hai. Har ek ko Allah isse mohabbat se nahin nawaazta.”

Wo badi rasaaniyat se keh raha tha. Imama uske chehre se nazrein nahin hata saki. Use kabhi kisi shakhs ke saamne is tarah ehsaas-e-kamtari nahin hua tha, jis tarah ka ehsaas-e-kamtari wo Jalaal Ansar ke saamne mehsoos karti thi.

Shayad main bhi naat padh loon. Shayad main bhi bahot achi tarah se padh lungi magar main……. Main Jalaal Ansar kabhi nahin ho sakti. Kabhi ban hi nahin sakti. Kabhi meri aawaz sun kar kisi ka haal wo nahin ho sakta jo Jalaal ki aawaz sun kar hota hai. Wo library se nikalte ue musalsal maayusi ke aalam mein soch rahi thi.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-50/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 48



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *