Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 59

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo raat ko bhi apne kamre se nahin nikli thi magar mulaazim ke khana lane par usne khana kha liya tha. Raa ko 11 baje ke qareeb usne Jalaal ko phone kiya Pone Jalaal ne hi uthaya tha. Shayad wo Imama ke phone ki tawaqqo kar raha tha. Mukhtasar si tamheed ke baad wo asal mauzoo ki taraf aa gaya.

“Imama! Main ne abbu se kuch der pehle baat ki hai.” Usne Imama se kaha.

“Phir?” Wo uske istefsaar par chand lamhe khamoosh raha phir usne kaha.

“Abbu, is shadi par raza mand nahin hain.”

Imama ka dil doob gaya. “Magar aap to keh rahe the unhein is shadi par koi aitraaz nahin hoga.”

“Haan, mera yahi khayaal tha ke magar unhein bahot sari baaton par aitraaz hai. Wo samajhte hain tumhare aur hamare gharaane ke status mein bahot farq hai……… Aur wo tumhare khaandaan ke barey mein bhi jaante hain aur unhein sab se bada aitraaz is baat par hai ke tum apne ghar walon ki marzi ke baghair mujh se shadi karna chahti ho. Unhein ye khauf hai ke is soorat mein tumhare ghar wale mere ghar walon ko tang karenge.”

Wo saakit baithi mobile kaan se lagaye uski aawaz sunti rahi. “ Aap ne unhein raza mand karne ki koshish nahin ki.” Ek labhi khamushi ke baad usne kaha.

“Main ne bahot koshish ki. Unhon ne mujh se kaha hai ke agar tumhare ghar wale is shadi par tayyar ho jate hain to phir wo bhi raazi ho jayenge. Is baat ki parwaah kiye baghair ke tumhara khaandaan kya hai laikin tumhare ghar walon ki marzi ke baghair wo meri aur tumhari shadi ko tasleem nahin karenge.” Jalaal ne usse kaha.

“Aur aap…….. aap kya kehte hain?”

“Imama!meri kuch samajh mein nahin aa raha.” Jalaal ne kuch be basi ke aalam me kaha.

“Jalaal! Mere parents kabhi aap se meri shadi par tayyar nahin honge, ba-soorat-e-deegar hamari puri community unka boycott kar degi aur wo ye kabhi bardaasht nahin kar sakte aur phir aap Asjad se meri mangni ko kyun bhul rahe hain.”

“Imama! To phir bhi apne waldain se baat to karo, ho sakta hai koi raasta nikal aaye.”

“Main kal baba se thappad kha chuki hoon. Sirf ye bata kar ke main kisi doosre me interested hoon.”Imama ki aawaz bharrane lagi. “Agar unhein ye pata chal gaya ke main jise pasand karti hoon wo unke mazhab ka nahin hai to wo mujhe maar dalenge. Please aap uncle se baat karein. Aap unhein meri problem batayein.” Usne multajiyaana andaz mein kaha.

“Main abbu se kal dobara baat karunga aur ammi se bhi……. Phir main tumhein bataunga ke wo kya kehte hain.” Jalaal pareshaan tha.

Imama ne jis waqt usse baat karne ke baad phone band kiya wo be had dil girafta thi. Uske wahem-o-gumaan mein bhi ye nahin tha ke Jalaal ke waldain ko is shadi par aitraaz hoga. Mobile haath mein liye wo bahot der tak khaali-uz-zehni ke aalam mein baithi rahi.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-60/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 58



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *