Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 61

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Imama ne agli raat Jalaal ko phir phone kiya. Phone Jalaal ne hi uthaya tha.

“Imama! Main ne ammi se bhi baat ki hai. Wo abbu se zyada naaraz hui hain meri baat par.”Imama ka dil goya mukammal doob gaya.

“Wo keh rahi hain ke mujhe ek fizool maamle mein khud ko involve karne ki zaroorat nahin hai.” Jalaal ne sirf goyi ka muzaahera kiya. “Main ne unhein tumhari problem ke barey mein bhi bataya hai magar unka khena hai ke ye tumhara problem hai, hamara nahin.”

Imama ko uske lafzon se shadeed takleef hui thi.

“Main ne unhein bahot samjhane ki koshish ki magar wo raza mand nahin hain aur na hi hongi.” Jalaal ki aawaz dheemi ho gayi thi.

“Mujhe tumhari madad ki zaroorat hai Jalaal!” Usne doobte dil ke saath kisi mauhoom se ummeed par kaha.

“Main jaanta hoon Imama! Magar main kuch nahin kar sakta. Mere waldain us proposal par raazi nahi hain.”

“Kya tum unki marzi ke baghair mujh se shadi nahin kar sakte?”

“Nahin, ye mere liye mumkin nahin hai. Mujhe un se itni mohabbat hai ke main unhein naaraz kar ke tum se shadi nahin kar sakta.”

“Please Jalaal!” wo gidgidaayi. “ Tumhare alawa mere paas aur koi raasta nahin hai.”

“Main apne waldain ki naafarmaani nahin kar sakta, tum mujhe iske liye majboor na karo.”

“Main aap ko naafarmaani ke liye nahin keh rahi hoon. Main to aap se apni zindagi ki bheek maang rahi hoon.”

Uske aasaab chatakh rahe the. Use yaad nahi tha ke usne zindagi mein kabhi kisi se itne iltejaaiya aur mannat bharey andaaz mein baat ki ho.

“Aap mujh se sirf nikaah kar lein, apne waldain ko is barey mein na batayein. Beshak aap baad mein unki marzi se bhi shadi kar lein, main aitraaz nahi karungi”

“Tum ab bachon jaisi batein kar rahi ho. Khud socho agar aise kisi nikaah ke barey mein abhi mere waldain ko pata chal jata hai to wo kya karenge…….. Wo to mujhe ghar se nikaal denge…… Aur phir tum aur main kya karenge.”

“Ham mehnat kar lenge, kuch na kuch kar lenge.”

“tumhare is kuch na kuch se main bahar padhne na ja sakunga.” Is baar Jalaal ka lehje chubhta hua tha, wo bol nahin saki.

“Nahin Imama! Mere itne khwaab aur khwaahishaat hai ke main unhein tumhare liye ya kisi ke liye bhi nahin chod sakta. Mujhe tum se mohabbat hai is mein koi shak nahin magar main is jazbaatiyaat ka muzahera nahin kar sakta jis ka muzaahera tum kar rahi ho. Tum dobara mujhe phone mat karna kyun ke main ab is sarey maamle ko yahin khatm kar dena chahta hoon. Mujhe tum se hamdardi hai magar tum apne is mas’aley ka hal khud hi nikalo, Main tumhari madad nahin kar sakta, Khuda Hafiz.”

Jalaal ne phone band kar diya.

Raat 10 baj kar 50 minute par use apne ird gird ki poori duniya dhuwen mein tehleel hoti nazar aayi. Kisi cheez ke mutthi mein hone aur phir door door tak kahin na hone ka farq koi Imama se behtar nahin bata sakta tha. Ma’oof zahen aur shal hote hue aasaab ke sath wo bahot der tak kisi but ki tarah apne bed par tangein latkaye baithi rahi.

Mujhe bata dena chahiye ab baba ko sab kuch…….. Uske siwa ab aur koi dusra raasta nahin hai…… Shayad wo khud hi mujhe apne ghar se nikaal dein………. Kam az kam mujhe is ghar se to rihaayi mil jayegi.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-62/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 60



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *