Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 66

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Main ek ladki se nikaah karna chahta hoon.” Hasan ne Salar ke chehre ko ghaur se dekha aur phir be-ikhteyaar hansa.

“Ye is saal ka naya adventure hai ya aakhri adventure?”

“Tum nikaah khwaahon aur kuch gawaahon ka intezaam karo, taa ke main usse phone par nikaah kar sakun.” Salar ne fauran hi kaam ki baat ki.

“Magar tumhein ye nikaah kar ke kya fayda hoga.”

“Kuch bhi nahin, magar main kisi fayde ke barey mein soch bhi kab raha hoon.”

“Dafa karo Salar! Is sab ko……. Tum kyun kisi dusre ke maamle mein kood rahe ho aur wo bhi Waseem ki bahen ke maamle mein……. behtar……”

Salar ne is baar durushti se uski baat kaati. “Tum mujhe sirf ye batao meri madad karoge ya nahin…….. Baaqi cheezon ke barey mein pareshaan hona tumhara mas’ala nahi hai.”

“Theek hai, main tumhari madad karunga. Main madad se inkaar nahin kar raha hoon, magar tum ye soch lo ke ye sab bahot khatarnaak hai.” Hasan ne hathiyaar daalne wale andaaz mein kaha.

“Main soch chuka hoon, tum mujhe tafseelaat batao.” Salar ne is baar french fries khate hue kuch mutmayin andaaz mein kaha.

“Bas ek baat…….. Agar uncle aur aunty ko pata chal gaya to kya hoga.”

“Unhein pata chalega, wo yahan nahin hain, Karachi gaye hue hain aur abhi kuch din waha rukenge. Wo yahan hote phir mere liye ye sab kuch karna bahot mushkil hota.” Salar ne use mutmayin karne ki koshish karte hue kaha. Wo apna burger khate hue kisi gehri soch mein dooba hua nazar aa raha tha magar Salar uske ta’suraat ki taraf dhyaan nahin de raha tha. Wo jaanta tha ke Hasan is waqt apna Laaiha-e-amal tay karne mein masroof hai. Use Hasan se kisi qism ka khauf ya khatra nahin tha. Wo uska behtreen dost tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-67/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 65



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *