Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
“Tum ek baar phir Jalaal se milo, ek baar phir please………Wo us din use phone par keh rahi thi.
Salar is baat par chid gaya. “Wo tum se shadi nahin karna chahta Imama! Wo kitni baar keh chuka hai. Aakhir tum samajhti kyun nahin ho ke dobara baat karne ka koi fayda nahin hai. Usne bataya tha ke uske maan baap uski koi mangni waghaira karna chah rahe hain……..”
“Wo jhoot bol raha hai.”Imama ne be-ikhteyaar uski baat kaat di. “Sirf is liye ke main usse dobara contact na karun, warna uske parents itni jaldi uski mangni kar hi nahin sakte.”
“To jab wo nahin chahta tum se shadi karna aur contact karna…….. To tum kyun khwaar ho rahi ho uske piche.”
“Kyun ke meri qismat mein khwaari hai.” Usne dusri taraf se bharrayi hui aawaz mein kaha.
“Iska kya matlab hua?” Wo uljha.
“Koi matlab nahin hai, na tum samajh sakte ho……… Tum bas use ja kar kaho ke meri madad kare, wo Hazrat Muhammad ﷺ se itni mohabbat karta hai….. Usse kaho ke wo Aap ﷺ ke liye hi mujh se shadi kar le.” Wo baat karte karte phoot phoot kar roney lagi.
“Ye kya baat hui.” Wo uske aansuon se muta’ssir hue baghair bola. “Kya ye baat kehne se wo tum se shadi kar lega?”
Imama ne jawaab nahin diya, wo hichkiyon se ro rahi thi. Wo bezaar ho gaya.
“Tum ya to ro lo…….. Ya phir mujh se baat kar lo.”
Dusri taraf se phone band kar diya gaya. Salar ne fauran call ki. Call receive nahin ki gayi.
15-20 minute baad Imama ne use dobara call ki. “Agar tum ye waada karti ho ke tum rougi nahin to mujh se baat karo, warna phone band kar do.” Salar ne uski aawaz sunte hi kaha.
“Phir tum Lahore ja rahe ho?” Uske sawaal ka jawaab dene ki bajaye usne usse pucha. Salar ko uski mutaqil mizaaji par hairaani hui. Wo waqai dheet thi. Wo ab bhi apni hi baat par atki hui thi.
“Acha, main chala jaunga. Tum ne apne ghar walon ko shadi ke barey mein bata diya hai?” Salar ne mauzoo badalte hue kaha.
“Nahin, abhi nahin bataya hai.” Wo ab khud par qaabu paa chuki thi.
“Kab bataogi?” Salar ko jaise drame ke agle scene ka intezaar tha.
“Pata nahin.” Wo kuch uljhi. “Tum kab Lahore jaoge?”
“Bas jald hi chala jaunga. Abhi yahan mujhe kuch kaam hai warna fauran hi chala jata.”
Is baar Salar ne jhoot bola tha. Na to use koi kaam tha aur na hi wo is baar Lahore jane ka iraada rakhta tha.
Jab tum bailiff ke zariye apne ghar se nikal aaogi to uske baad tum kya karogi……. I mean! Kahan jaogi?” Salar ne ek aar phir use us mauzoo se hataate hue kaha. “Us surat-e-haal mein jab Jalaal bhi tumhari madad karne par tayyar na hua to……..”
“Main abhi aisa kuch farz nahin kar rahi, wo zaroor meri madad karega.”Imama ne uski baat kaat’te hue pur zor andaaz mein kaha. Salar ne kaandhe uchkaye.
“Tum kuch bhi farz karne ko tayyar nahin ho, warna main tum se zaroor kehta ke shayad wo na ho jo tum chahti ho phir tum kya karogi……… Tumhein dobara apne parents ki madad ki zaroorat padegi……….. To zyada behtar yahi hai ke tum abhi yahan se jaane ka na socho……….. Na hi bailiff aur court ki madad lo. Baad mein hi to tumhein yahan hi aana padega.”
“Main dobara yahan kabhi nahin aaungi, kisi surat mein nahin.”
“Ye jazbaatiyat hai.” Salar ne tabsara kiya.
“Tum in cheezon ko nahin samajh sakte.”Imama ne hamesha ki tarah apna makhsoos jumla dohraya. Salar kuch jiz-biz hua.
“Okay…… Karo jo karna chahti ho.” Usne laparwahi se keh kar phone band kar diya.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-69/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar