Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 70

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Bechari Imama bibi!” Naasera ne Salar ke kamre ki safai karte hue achanak buland aawaz mein afsos ka izhaar karte hue kaha. Salar ne mud kar use dekha. Wo apni study table par padi hui kitabon ko samet raha tha. Naasera use mutawajjah dekh kar tezi se boli.

“Badi maar padi hai ji kal raat ko.”

“Kis ko maar padi hai?” Salar ne kitabein ek taraf rakhte hue kaha.

“Imama bibi ko ji! Aur kise.” Wo kitabein ek taraf karte karte ruk gaya aur Naasera ko dekha jo kamre mein maujood ek shelf ki jhaad ponch kar rahi thi.

“Hashim Mubeen ne kal bahot mara hai use.”

Salar be had mehzooz hua “Waqai?”

“Haan ji, bahot zyada pitaai ki hai, meri beti bata rahi thi.” Naasera ne kaha.

“Very nice!” Salar ne be-ikhteyaar tabsara kiya.

“Ji! Aap kya keh rahe hain?” Naasera ne pucha.

Uske honton par maujood muskurahat Naasera ko ajeeb lagi. Use tawaqqo nahin thi ke wo is khabar par muskurayega. Uske zaati“Qayaafon” aur “Andaazon” ke mutaabiq un dono ke darmiyaan jaise talluqaat the, is par Salar ko bahot zyada afsurda hona chahiye tha magar yahan surat-e-haal bilkul bar-aks thi.

“Bechaari Imama bibi ko pata chal jaye ke Salar sahab is khabar par muskura rahe the to wo to sadmey se hi mar jayein.” Naasera ne dil mein socha

“Kis baat par maarna hai ji! Suna hai wo Asjad sahab se shadi par tayyar nahin hain, kisi aur “ladke” se shadi karna chahti hain.” Naasera ne ladke par zor dete hue maani-khez andaz mein Salar ko dekha.

“Bas is baat par?” Salar ne laparwahi se kaha.

“Ye koi choti baat thodi hai ji, unke poore ghar mein toofan macha hua hai. Shadi ki taareekh tay ho chuki hai, card aa chuke hain aur ab Imama bibi bazid hain ke wo Asjad sahab se shadi nahin karengi. Bas isi baat par Hashim Sahab ne unki pitaai ki.”

“Ye to koi badi baat nahin hai ke is par kisi ko mara jaye.” Wo apni kitabon me masroof tha.

“Ye to aap keh rahe hain na…….. Un logon ke liye to ye bahot badi baat hai.” Naasera ne usi tarah safai karte hue tabsara kiya. “Main to badi dukhi hoon! Imama bibi ke liye. Badi achi hain, adab lehaaz wali……….aur ab dekhen……..Kya qayaamat toot padi hain un par. Hashim Saab ne ghar se nikalne par pabandi laga di hai. Meri beti roz unka kamra saaf karti hai……. Aur wo batati ke unka to chehra hi utar kar reh gaya hai.”

Naasera usi tarah bol rahi thi. Shayad wo sha’oori aur ye koshish kar rahi thi ke Salar use apna aur Imama ka himayati aur taraf daar samajhte hue koi raaz keh de magar Salar ahmaq nahin tha aur use Naasera ki is naam nihaad hamdardi se koi dilchapi thi bhi nahin. Agar Imama ki pitaai ho rahi thi aur use kuch takleefon ka saamna kar pad raha tha to usse us ka kya talluq tha, magar use is surat-e-haal par hansi zaroor aa rahi thi. Kya is daur mein bhi koi is umr ki aulaad par hath utha sakta hai aur wo bhi Hashim Mubeen Ahmad jaise ameer tabqey ka aadmi…….. Hairaani ki baat thi……..” Soch ki ek hi roo mein bahot se mutazaad khayalaat beh rahe the.

Naasera kuch der isi tarah bolti apna kaam karti rahi magar phir jab usne dekha ke Salar uski guftgu mein ke dilchaspi nahin le raha aur apne kaam mein masroof ho chuka hai to wo qadrey maayus ho kar khamoosh ho gayi. “Ye pehle mohabbat karne wale the, jin ka rawaiyya be had ajeeb tha……. Koi izteraab……. Bechaini aur pareshani to in dono ke darmiyaan nazar hi nahin aa rahi thi. Ek dusre ki takleef ka bhi sun kar……… Shayad Imama bibi bhi uske bare mein is tarah ki baat sun kar isi tarah muskurayein, kaun jaanta hai.”

Naasera ne shelf par padi ek tasweer utha kar saaf ki


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-71/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 69



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *