Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Ghar chod dene ka faisla uski zindagi ke sab se mushkil aur takleef-dah faislon mein se ek tha magar iske alawa uske paas ab dusra koi raasta nahin tha. Hashim Mubeen use kahan le jate aur phir kis tarah use talaaq dilwa kar uski shadi Asjad se karte, wo unhein jaanti thi. Wahid cheez jo wo jaanti thi wo ye haqeeqat thi ke ek baar wo use kahin aur le gaye to phir uske paas rihaayi aur faraar ka koi raasta nahin bachega. Wo ye baat achi tarah jaanti thi ko wo use jaan se kabhi nahin marenge magar zinda reh kar is tarah ki zindagi guzaarna zyada mushkil ho jata, jaisi zindagi ki wo is waqt tawaqqo kar rahi thi.
Hashim Mubeen Ahmad ke chale jane ke baad wo bahot der tak baith kar roti rahi aur phir usne pehli baar apne haalaat par ghaur karna shuru kiya. Use ghar se subah hone se pehle pehle nikalna tha aur nikal kar kisi mehfooz jagah par ja kar pahonchna tha. Mehfooz jagah……..? uske zahen mein ek baar phir Jalaal Ansar ka khayaal aaya, is waqt sirf wahi ek shakhs tha jo use saheeh maanon mein tahaffuz de sakta tha. Ho sakta hai mujhe apne saamne dekh kar uska faisla aur rawaiyya badal jaye, wo apne faisley par ghaur karne par majboor ho jaye, ho sakta hai wo mujhe sahaara aur tahaffuz dene par tayyar ho jaye, uske waldain ko mujh par taras aa jaye.
Ek mauhoom si ummeed uske dil mein ubhri thi. Wo madad nahin bhi karte tab bhi kam az kam main to aazad hongi. Apni zindagi ko apni marzi se guzaar sakungi. Magar sawaal ye paida hota hai ke main yahan se kaise niklungi aur jaungi kahan………?
Wo bahot der tak pareshani ke aalam mein baithi rahi, use ek baar phir Salar ka khayaal aaya.
“Agar main kisi tarah uske ghar pahonch jaun to wo meri madad kar sakta hai.”
Usne Salar ke mobile par uska number milaya. mobile off the, kayi baar call milaayi laikin usse raabta na ho saka. Imama ne mobile band kar diya. Usne ek bag mein chand jodey kapde, aur dusri cheezein rakh lin. Uske paas kuch zewraat aur raqm bhi thi, usne unhein bhi apne bag mein rakh liya phir jitni qeemti cheezen uske paas thin, jinhein wo aasani se sath le ja sakti aur baad mein bech kar paise haasil kar sakti thi, wo unhein apne bag mein rakhti gayi. Bad band karne ke baad usne apne kapde tabdeel kiye aur phir do nafil adaa kiye.
Uska dil behad bojhal ho raha tha. Be sukooni aur izteraab ne uske poore wajood ko apni giraft mein liya hua tha. Aansu baha kar bhi uske dil ka bojh kam nahin hua tha. Nawaafil adaa karne ke baad jitni aayaat aur sooratein use zabaani yaad thin, usne wo saari padh lin.
Bag le kar apne kamre ki light band kar ke wo khamushi se bahar nikal gayi. Lounge ki ek light ke alaawa saari lights off thin. Wahan zyada raushni nahin thi. Wo mohtaat andaaz mein chalte hue seedhiyaan utar kar niche aa gayi aur phir kitchen ki taraf chali gayi. Kitchen taariki mein dooba hua tha. Wo mohtaat andaaz mein cheezon ko tatolte hue kitchen ke us darwaaze ki taraf badh gayi jo bahar lawn mein khult tha. Aqbi lawn ke is hisse mein kuch sabziyaan lagayi gayi thi aur is ghar mein kitchen ka wo darwaza waahid darwaza tha jise lock nahin kiya jata tha, sirf chitkhini laga di jati thi. Darwaza us raat bhi lock nahin tha. Wo aahistagi se darwaza khol kar bahar nikal aayi. Kuch faasley par servant quarters the, wo behad mohtaat andaaz mein chalte hue lawn uboor kar ke apne aur Salar ke ghar ki diwar tak pahonch gayi. Diwar bahot zyada buland nahin thi,usne aahistagi se bag dusri taraf phenk diya aur phir kuch jadd-o-jahed ke baad khud bhi diwar phalaangne mein kaamyaab ho gayi.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-72/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar