Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 76

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo us waqt gehri neend mein tha, jab usne achaanak kisi ko apne kamrey ke darwaze ko zor zor se bajaate suna. Wo ek dam uth kar baith gaya. Darwaza waqai baj raha tha. Usne mundi hui nazron se wall clock ko dekha jo 4 baja raha tha apni aankhon ko ragadtey hue wo apne bed se uth khada hua. Use darwaza bajaane waley par shadeed ghussa aa raha tha. Usi ghusse ke aalam mein usne badbadatey hue ek jhatke ke saath darwaza khol diya. Bahar mulaazim khada tha.

“Kya takleef hai tumhein……… Kyun is tarah darwaza baja rahe ho? Darwaza todna chahte ho tum?” Wo darwaza kholte hue mulaazim par chillaya.

“Salar sahab bahar police khadi hai.” Mulaazim ne ghabraaye andaaz mein kaha. Salar ka ghussa aur neend ek minute mein ghayab ho gaye. Ek second se bhi kam arsey mein wo police ke wahan aa jane ki wajah jaan gaya tha aur use unki aur Imama ke ghar walon ki is mustaidi par hairat hui. Aakhir chand ghanton mein sidhey us tak kaise pahonch gaye the.

“Kis liye aayi hai police?” usne apni aawaz ko pur sukoon rakhte hue be ta’assur chehre ke saath pucha.

“Ye to ji pata nahin. Wo bas keh rahe hain ke aap se milna hai, magar chaukidaar ne gate nahin khola. Usne un se keh diya hai ke aap ghar par nahin hain magar unke paas aap ke warrant hai aur wo keh rahe hain ke agar unhein andar nahin aane diya gaya to wo zabardasti andar aa jayenge aur tamaam logon ko giraftaar kar ke le jayenge.”

Salar ne be-ikhteyaar itmenaan bhara saans liya. Chaukidaar ne waqai badi aqal mandi ka muzaahera kiya tha. Use yaqeenan ye andaza ho gaya tha ke police raat wali ladki ke maamle mein hi tafteesh ke liye waha aayi thi isliye usne na to police ko andar aane diya na hi unhein ye bataya ke Salar ghar par maujood tha.

“Tum fikr mat karo. Main kuch na kuch karta hoon.” Salar ne mulaazim se kaha aur wapas apne bedroom mein aa gaya , wo kisi aam shehri ka ghar hota to police shayad diwarein phalaang kar bhi andar maujood hoti magar is waqt warrant hoe ke bawajood us ghar ke size aur jis ilaaqey mein wo waaqe tha unhein khauf mein mubtala kar rahe the. Agar Imama ka khaandaan asar-o-rusookh wala nahin hota to shayad is waqt police is sector mein aane aur khaas taur par warrant ke sath aane ki jurrat hi nahin karti magar is waqt police ke saamne aage kunwaan piche khaayi wali surat thi.

Salar ne bedroom ke andar aate hi phone utha kar Karachi Sikandar Usman ko phone kiya.

“Papa! Ek chota sa problem ho gaya hai.” Usne choot’te hi kaha.

“Yahan hamare ghar ke bahar polic khadi hai aur unke paas mere giraftaari ke warrant hain.”

Sikandar Usman ke hath se mobile girte girte bacha.

“Kyun………?”

“Ye to nahin pata papa…….. Main so raha tha, mulaazim ne jaga kar mujhe bataya, kya main ja kar police walon se puchun ke wo kis silsiley mein mujhe giraftaar karna chahte hain?” Salar ne badi farmaan-bardaari aur maasumiyat ke sath Sikandar Usman se pucha.

“Nahin, bahar nikalne ya police ko andar bulwane ki zaroorat nahin hai. Tum apne kamrey mein hi raho. Main thodi der baad tumhein ring karta hoon.” Sikandar Usman ne ujlat ke aalam mein mobile band kar diya. Salar ne mutmayin ho kar phone rakh diya wo jaanta tha ke ab kuch der baad police waha nahin hogi aur waqai aisa hi hua tha. 10-15 minute ke baad mulaazim ne aa kar use police ke jaane ke barey mein bataya. Mulaazim abhi usse baat kar hi raha tha jab Sikandar ne dobara call ki thi.

“Police chali gayi hai?” Sikandar ne uski aawaz sunte hi kaha.

“Haan chali gayi hai.” Salar ne bade itmenaan bhare andaaz mein kaha.

“Ab tum meri baat theek tarah suno. Main aur tumhari mummy raat ko Karachi se Islamabad pahonch rahe hain. Tum tab tak ghar se kahin nahin niklenge…….. Suna tum ne.” Salar ko unke baat karne ka andaaz bahot ajeeb sa laga. Unhon ne bahot akkhad andaaz aur sard mohri se usse baat ki thi.

“Sun liya………..” Wo dusri taraf se phone band kar chuke the.

Salar abhi phone band kar raha tha jab uski nazar apne kamrey ke carpet par padi. Wahan jootey ke nishaanat the aur usne dekha ke mulaazim bhi qadrey hairaani ke aalam mein un nishaanaat ko dekh raha tha jo khidki se qataar ki surat mein badh rahe the.

“jootey ke un nishanaat ko saaf kar do.” Salar ne tahakkumaana andaaz mein kaha.

Mulaazim kamrey se bahar chala gaya. Salar uth kar khidki ki taraf aa gaya aur usne wo sliding window puri tarah khol di. Uska andaza theek tha. Jootey ke wo mitti waley nishanaat bahar bar-aamdey mein bhi maujood the. Imama apni kyariyon se guzar kar diwaar phalaang kar unki kyaariyon mein koodi thi aur yahi wajah thi ke uske jootey ke talle mitti se bhar gaye the. Os ki wajah se wo mitti kam aur keechad zyada thi aur uske bar-aamdey ke safed marble par wo nishanaat bilkul ek qataar ki surat mein aa rahe the. Wo ek gehri saans leta hua andar aa gaya, mulaazim kamrey mein un nishanaat ko saaf karne mein masroof tha.

“Bahar bar-aamdey mein bhi pairon ke kuch nishanaat hai unhein bhi saaf kar dena.” Salar ne usse kaha.

“Ye kis ke nishaan hain?” Mulaazim zyada der apne tajassus par qaabu nahin rakh saka.

“Mere………….” Usne akkhad lehje mein kaha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-77/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 75



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *