Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo new year night thi, naya saal shuru hone me 30minutes baaqi they. 10 – 15 ladko par mushtamil 14 -15 saal ke ladko ka wo group, pichle 2 ghanton seapni motorcycles par sheher ki mukhtalif sadkon parapne kartab dikhane par masroof tha. Unme sechand ne apne maathey par chamakdaar bandsbandhey hue they, jin par naye saal ke hawale sekuch mukhtalif paighamaat darj they. Wo log ekghanta pehle, posh ilaqe ke ek badi supermarket memoujood they. Aur wahan wo mukhtalif ladko parawazein kastey rahe they.
Apni bikes par sawaarmukhtalif chakkar laga rahe they. Unke paasfirecrackers moujood they, jinhe wo waqtan fawaqtan chala rahe they. 11:45 par wo jimkhana kebahar moujood they, jahan parking lot gaadiyon sebhar chuka tha. Ye gaadiyaan un logon ki thi, jojimkhana me naye saal ke silsile me hone wali partyme aaye they. Un ladko ke paas bhi is party ke dawaticard moujood they. Kyu ki unme se takreebantamaam ke walidain jimkhana ke members they.
Woladke Andar pohoche, to 11:55 ho rahe they.Chand minto baad dance floors samet tamaamjaghon ki lights o! ho jati thi. Aur uske baad baharlawn me aatishbaazi ke ek muzahire ke saath nayasaal shuru hone par lights on hona thi. Iske baadwahan takreeban tamaam raat wahan raqs ke saath
saath sharab pee jati, jiska ehtemaam naye saal ki istaqreeb ke liye, jimkhana ki intezamiyan, khaas taurpar karti thi. Lights o! hote wahan ek toofaan ebadtameezi ka aaghaz ho jata tha. Aur wahanmoujood log isi toofaan e badtameezi ke liye wahanaate they.
15 saala wo ladka bhi 10 ladko ke us groupke saath aane ke baad us waqt dance floor par rockbeat par dance kar raha tha. Dance me uski maharatqaable deed thi.
12 bajne me 10 second rehjane par lights off ho gayiaur theek 12 bajne par yak dam lights phir se on kardi
gayi.
Andhere ke baad seconds ginne walon kiawazein ab shor aur khushi ke kehkehon aurcheekhon me badal gayi thi. Chand seconds pehletham jane wala music, ek baar phir bajaya jane laga.Wo ladka apne dosto ke saath bahar parking me aagaya, jahan bht se ladke apni apni gaadiyon ke hornbaja rahe they. Unhi ladko ke saath beer ke canpakde, wo wahan moujood ek gaadi ki chatt parchadh gaya. Us ladke gadi ki chatt par khade khadeapni jacket ki jeb se beer ka ek bhara hua can nikala,aur poori quwwat se kuch faasle pe khadi ek gaadi kewindscreen par de maara. Ek dhamake ke saathgaadi ki windscreen choor choor ho gayi. Wo ladkaitmenaan ke saath apne bayein haath me pakda canpeeta raha.
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar