Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo us weekend par jheel ke kinaare baitha hua tha. Uski tarah bahot se log waha phir rahe the. Wo kuch der idhar udhar phirne ke baad ek bench par aa kar baith gaya. Bahot laparwahi se ek ice cream stick khate hue wo idhar udhar nazrein daudaane mein masroof tha jab uski tawajjoh 3 saal ke ek bachche ne apni taraf mabzool kar li. Wo bachcha ek football ke piche daud raha tha aur usse kuch faasley par siyaah hijaab odhey ek ladki khadi thi jo muskurate hue us bachche ko dekh rahi thi. Wo wahan maujood bahot se Asians mein se ek thi magar hijaab mein malboos waahid ladki thi. Wo Laa sha’oori taur par use dekhe gaya. Wo bachcha football ko paaon se thokar lagate hue aahista aahista uski bench ki taraf aa gaya tha. Ek aur thokar ne ball ko sidha Salar ki taraf bhej diya. Kisi ghair iraadi amal ke tahet Salar ne usi tarah baithe baithe apne paaon mein pehne hue joggers ke madad se us ball ko roka aur phir paaon hataya nahin balke usi tarah football par hi rakha magar is baar uski nazar us ladki ki bajaye us bachche par thi jo tez raftaari se us ball ke piche uski taraf aaya tha.
Uske bilkul paas aane ki bajaye wo kuch door ruk gaya. Shayad wo tawaqqo kar raha tha ke Salar ball ko uski taraf ludhka dega magar Salar usi tarah football par ek paaon rakhe bayen haath se ice cream khate hue door khadi us ladki ko dekhta raha. Shayad use tawaqqo thi ke ab wo qareeb aayegi. Aisa hi hua tha. Kuch der tak use football na chodte dekh kar wo ladki kuch hairaani se aage uski taraf aayi thi.
“Ye football chod dein.”
Usne qareeb aa kar badi shaaistagi se kaha. Salar chand lamhey use dekhta raha phir usne football se apna paaon uthaya aur wahin baithe baithe ek zordaar kick lagayi.
Football udte hue bahot door ja gira. Kick lagane ke baad usne itmenaase us ladki ko dekha. Uska chehra ab surkh ho raha tha jab ke wo bachcha ek baar phir us ball ki taraf bhaagta ja raha tha jo ab kahin nazar nahin aa rahi thi. Us ladki ne zair-e-lab usse kuch kaha aur phir wapas mud gayi. Salar uske munh se nikalne wale alfaaz ko sun ya samajh nahin saka magar uske surkh chehre aur ta’assuraat se wo ye andaza bakhubi laga sakta tha ke wo koi khush gawaar alfaaz nahin the. Use apni harkat par sharmindagi bhi hui magar jald hi andaza ho gaya ke usne ye harkat kyun ke. Wo ladki Imama se mushabehat rakhti thi.
Wo lambey se siyaah coat mein siyaah hijaab odhey hue thi. Daraaz qad aur bahot dubli patli thi. Bilkul Imama ki tarah. Uski safed rangat aur siyaah aankhein bhi use Imama jaisi hi mehsoos hui thin. Imama bahot lambi chaudi chaadar mein khud ko chupaaye rakhti thi. Wo hijaab nahin leti thi magar uske bawajood is ladki ko dekhte hue use uska khayaal aaya tha aur laa sha’oori taur par usne wo nahin kiya jo wo ladki chahti thi. Shayad use kisi had tak taskeen hui thi ke usne Imama ki baat nahin maani magar……… Wo Imama nahin thi.
“Aakhir kya ho raha hai mujhe, is tarah to………….”Usne hairaan hote hue socha. Wo jeb mein se ek cigarette nikaal kar sulgaane laga. Cigarette ke kash lete hue wo ek baar phir us ladki ko dekhne laga jo apne bachche ko football ke sath khelte dekh kar muskura rahi thi. Salar use dekh raha tha aur uske alawa har shay se be neyaaz nazar aa raha tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-88/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar