Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Sikandar Usman ke sath hone wali guftgu ke baad wo sari raat is tamaam maamley ke barey mein sochta raha. Pehli baar use halka sa afsos aur pachtaawa hua tha. Use Imama Hashim ko uske kehne par fauran talaaq de deni chahiye thi phir shayad wo Jalaal ke paas chali jati aur wo dono shadi kar lete. Imama ke liye be had na pasandeedgi rakhne ke bawajood usne pehli baar apni ghalti tasleem ki.
“Usne dobara mujh se raabta nahin kiya. Wo talaaq lene court nahin gayi. Uske khaandaan wale bhi abhi tak use dhoond nahin sakey. Wo Jalaal Ansar ke paas bhi nahin gayi to phir aakhir wo gayi kahaan? Kya uske saath koi haadsa………?”
Wo pehli baar bahot sanjeedgi se, kisi naraazi ye ghussey ke baghair uske barey mein soch raha tha.
“Ye to mumkin nahin hai ke mujh se itni shadeed nafrat aur naa pasandeedgi rakhne ke baad meri biwi ke taur par kahin khamushi ki zindagi guzaar rahi ho, phir aakhir kya wajah hai ke Imama kisi ke saath bhi dobara raabta nahin kar rahi. Ab tak jab ek saal se zyada guzar gaya hai kya wo waqai haadsey ka shikaar ho gayi hai? Kya haadsa pesh aa sakta hai use…….?”
Uske barey mein sochte sochte uski zehni roo ek baar phir bahekne lagi.
“Agar koi haadsa pesh aa gaya hai to main kya karun………. wo apne risk par ghar se nikli thi aur haadsa to kisi ko kisi bhi waqt pesh aa sakta hai phir mujhe uske barey mein itna fikar mand hone ki kya zaroorat hai? Papa theek kehte hain jab mera uske sath koi talluq nahin hai to phir mujhe uske barey mein itna tajassus bhi nahin rakhna chahiye. Khaas taur par ek aisi ladki ke barey mein jo is had tak ehsaan faraamosh ho jo apne aap ko usron se behtar samajhti ho aur jo mujhe itna ghatiya samajhti ho uske sath jo bhi hua hoga theek hi hua hoga wo isi qaabil thi.”
Usne us ke barey mein har khayaal ko zahen se jhatakne ki koshish ki.
Kuh der pehle ki ta’assuf aamez sanjeedgi wo ab mehsoos nahin kar raha tha na hi use kisi qism ke pachtawey ka ehsaas tha. Wo waise bhi choti moti baaton par pachtaaney ka aadi nahin tha. Usne sukoon ke aalam mein aankhein band kar lin. Uske zahen mein ab door door tak kahin Imama Hashim ka tasawwur maujood nahin tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-92/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar