Drama Review | Parizaad | Lyrics in Roman Urdu

Parizaad, the new HUM TV drama is based on Hashim Nadeem’s novel of the same name. For brief summary of the novel and my review of the same, read here.

Parizaad’s OST is one of the best so far. It doesn’t just have a catchy tune, and a perfect voice. It’s lyrics is what makes it so perfect, almost making me think that Parizaad is singing it himself.

Here goes the lyrics:

Husan Ke JazeeroN MeiN
Roop Ke KinaroN Par
Reshmi Andhray HaiN
Surmae Ujalay HaiN

Ik Naz Afreen Dil Par
Qabza Jamae Bethi Hai
Jisko Neel Ankhon Main
NeelgooN Se Pyaley HaiN

Na Pooch ParizaadoN Se
Yeah Hijr Kaise Jhela Hai
Yeah Tan Badan Toh Chalni Hai
Aur Roh Par Bhi Chlay HaiN

Kaise Jan Pao Gay
Ishq Main Kya Guzri Hai
Kitne Zakham Khaye HaiN
Kitne Dard Paley HaiN

KhwahishoN Ke Jangal Mein
HastratoN Ke Bistar Par
Jism To Gulabi HaiN
Aur Dil Siyah Kaley HaiN

Main Roop Ka Pujari Hoon
Main Lafz Ka Bikhari Hoon
Lakin Jahan Main Basta Hoon
Wahan Mandiron Pay Tare HHain

Kya Ishq Woh NibhaeN Gey
Kya Husn Ko SaraHeiN Gey
Tareek Jin Ke Chehray HaiN
Muqaddar UnKe Jagay HaiN

Dushmano Se Kya Shikwa
Kya Gila RaqeeboN Se
Yeh Sanp AsateenoN MeiN
Hum Nay Khud Hi Paley HaiN

Na Pooch ParizaadoN Se
Yeah Hijr Kaise Jhela Hai
Yeah Tan Badan Toh Chalni Hai
Aur Roh Par Bhi Chlay HaiN

Kaise Jan Pao Gay
Ishq Main Kya Guzri Hai
Kitne Zakham Khaye HaiN
Kitne Dard Paley HaiN

Assalamualaikum,

Shabana Mukhtar