Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 30

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Ye sab kuch school mein hone wale ek waqaye se shuru hua tha. Imama us waqt matric ki student thi aur Tehreem uski achi doston mein se ek thi. Wo log kayi saal se ikatthe the aur na sirf ek school mein padhte the balke unki families bhi ek dusre ko bahot achi tarah janti thin. Apni friends mein se sab se zyada dosti Tehreem aur Jaweriya se thi magar hairat hoti thi ke itni gehri dosti ke bawajood bhi Jaweriya aur Tehreem us ke ghar aane se katrati thin. Imama har saal apni salgirah par unhein invite karti aur aksar wo apne ghar par hone wali taqreebaat mein bhi unhein mad’uu karti wo ghar se ijazat na milne ka bahana bana detin. Chand baar Imama ne khud un dono ke waldain se ijazat lene ke liye baat ki, laikin uske be tahasha israar ke bawajood un dono ke waldain unhein us ke ghar aane ki ijazat nahin dete. Unke rawaiyye par shaaki ho kar usne apne waldain se shikayat ki.

“Tumhari ye dono friends Sayyad hain. Ye log aam taur par hamare firqe ko pasand nahin karte. Isi liye un dono ke waldain unhein hamare ghar nahin aane dete.” Ek baar uski ammi ne uski shikayat par kaha

“Ye kya baat hui. Hamare firqe ko kyun pasand nahin karte?”Imama ko unki baat par ta’jjub hua.

“Ab ye to wahi log bata sakte hain ke wo hamare firqe ko pasand kyun nahin karte…….. Ye to hamein ghair muslim bhi kehte hain.” Uski ammi ne kaha.

“Kyun ghair muslim kehte hain…… Hum to ghair muslim nahin hain.”Imama ne kuch ulajh kar pucha

“Haan bilkul. Ham musalman hain……. magar ye log hamare nabi par yaqeen nahin rakhte.” Uski ammi ne kaha.

“Kyun?”

“Ab is kyun ka main kya jawab de sakti hoon. Ab ye log yaqeen nahin rakhte. Kattar hain bade, ye to inhein qayamat ke din hi pata chalega ke kaun sidhe raaste par tha. Ham ya yeh…..”

“Magar ammi mujh se to kabhi unhon ne mazhab par baat nahin ki. Phir mazhab mas’ala kaise ban gaya….. Isse kya farq padta hai phir dusre ke ghar aane jane se kya hota hai.”Imama abhi bhi uljhi hui thi.

“Ye baat unhein kaun samjhaye. Ye log hamein jhoota kehte hain, halanke khud unhein hamare bare mein kuch pata nahin…….Bas maulviyon ke kehne mein aa kar ham par chadh daudte hain. Unhein hamare bare mein aur hamare nabi ki taleemaat ke bare mein kuch pata ho to ye login is tarah na karein. Shayad inhein kuch sha’uur aajaye…… Aur ye log hamari tarah raah-e-raast par aa jayein. Tumhari friends agar tumhare ghar nahin aatin to tumhein pareshaan hone ki zarurat nahin hai. Tum bhi unke ghar na jaya karo.”

“Magar ammi! Unki ghalat fehmiyaan to door hona chahiye mere bare mein.”Imama ne ek baar phir kaha.

“Ye kaam tum nahin kar saktin. Un logon ke maan baap musalsal apne bachon ki hamare khilaaf brain washing karte rehte hain. Unke dilon mein hamare liye zaher bharte rehte hain.”

Nahin ammi, wo meri best friends hain. Unko mere baare mein is tarah nahin sochna chahiye. Main un logon ko apni kitaben padhne ke liye dungi, take un ke dil se mere bare mein ye ghalat fehmiyaan door ho saken. Phir ho sakta hain ye hamare nabi ko maan jayein.”Imama ne kaha to uski ammi kuch soch mein pad gayin.

“Aap ko meri tajweez pasand nahin aayi?”

“Aisa nahin hai…….. Tum zaroor unhein apni kitabein do…….. Magar is tareeqe se nahin ke unhein lage ke tum apne firqe ki tarweej ke liye unhein ye kitabein de rahi ho. Tum unhein ye keh kar kitabein dena ke tum chahti ho ke wo hamare bare mein janein. Ham ko zyada behtar tareeqe se samajh sakein aur unse ye bhi kehna ke in kitaabon ka zikr wo apne ghar walon se na karein…… Warna wo log aur zyada naaraz ho jayenge.”Imama ne unki baat par sar hila diya.

Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-29/

Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-31/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *