Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 31

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Us ke chand dino ke baad Imama school mein kuch kitabein le gayi thi. Break ke dauraan wo jab ground mein aa kar baithin to Imama apne sath wo kitabein bhi le aayi.

“Main tumhare aur Jaweriya ke liye kuch le kar aayi hoon”

“Kya layi ho dikhao!”Imama ne shopper se wo kitabein nikaali aur unhein do hisson me taqseem karte hue un dono ki taraf badha diya. Wo dono un kitabon par nazar dalte hi chup si ho gayin. Jaweriya ne Imama se kuch nahi kaha magar Tehreem kuch ukhad gayi.

“Ye kya hai?” Usne sard mohri se pucha.

“Ye kitaben main tumhare liye layi hoon.”Imama ne kaha.

“Kyun?”

“Take tum logon ki ghalat fehmiyan door ho saken.”

“Kis tarah ki ghalat fehmiyan?”

“Wahi ghalat fehmiyan jo tumhare dil mein, hamare mazhab ke bare mein hain.”Imama ne kaha.

“Tum se kis ne kaha ke hamein tumhare mazhab ya tumhare nabi ke bare mein ghalat fehmiyaan hain?” Tehreem ne badi sanjeedgi se kaha.

“Main andaza kar sakti hoon. Sirf isi wajah se to tum log hamare ghar nahin aate. Tum log shayad ye samajhte ho ke ham log musalman nahin hain ye ham log Quran nahin padhte ya ham log Muhammad ﷺ ko paighambar nahin maante haalanke aisi koi baat nahin hai…… Ham log un sab chizon par yaqeen rakhte hain. Ham to sirf ye kehte hain ke Muhammad ﷺ ke baad hamara bhi ek nabi hai aur wo bhi usi tarah qabil-e-ehtraam hai jis tarah Muhammad ﷺ.”Imama ne sanjeedgi ke sath wazahat karte hue kaha.

“Tehreem ne apne hath mein pakdi hui kitabein use wapas thama din.” Hamein tumhare aur tumhare mazhab ke bare mein koi ghalat fehmi nahin hai…….. Ham tumhare mazhab ke bare mein zaroorat se zyada jante hain. Is liye tum ko koi wazahat pesh karne ki zaroorat nahin hai.” Usne bade rookhe lehje mein Imama se kaha. “ Aur jahan tak in kitabon ka ta’lluq hai to mere aur Jaweriya ke paas itna bekaar waqt nahin hai ke in a’hmaqana da’won, khush fehmiyon aur gumrahi ke is palinde par zaya karein jise tum apni kitabein keh rahi ho.” Tehreem ne ek jhatke ke sath Jaweriya ke hath mein pakdi hui kitabein kheench kar unhein bhi Imama ke hath mein thama diya. Imama ka chehra khiffat aur sharmindagi se surkh pad gaya. Use Tehreem se is tarah ke tabsare ki tawaqq’o nahin thi. Agar hoti to wo kabhi use wo kitabein dene ki hamaqat hi na karti.

“Aur jahan tak ehtraam ka ta’lluq hai to us Nabi mein jis par nubuwwat ka nazool hota hai aur us nabi mein jo khud-ba-khud nabi hone ki khush fehmi mein mubtala ho jata hai, zameen aasmaan ka farq hota hai. Tum logon ko agar Quran par waqai yaqeen hota to tumhein uske ek ek harf par yaqeen hota. Nabi hone aur nabi banne mein bada farq hota hai.”

“Tehreem! Tum meri aur mere firqe ki be-izzati kar rahi ho.”Imama ne aankhon mein umadte hue aansuon ke sath kaha.

“Main kisi ki be-izzati nahin kar rahi. Main sirf haqeeqat bayaan kar rahi hoon, wo agar tumhein be-izzati lagti hai to main uske bare mein kuch nahin kar sakti.” Tehreem ne do tok andaaz mein kaha.

“Roza rakhne aur bhooka rakhne mein bada farq hota hai. Quran padhne aur us par imaan lane mein bada farq hota hai. Bahot sare christians aur hindu bhi Islam ke bare mein janne ke liye Quran paak padhte hain to kya unhein musalman maan liya jata hai? Aur bahot se musalman bhi dusre mazhab ke bare mein janne ke liye dusri kitabein padhte hain to kya wo ghair muslim ho jate hain? Aur tum log agar Huzoor ﷺ ko paghambar maante ho to koi ehsaan nahin karte. Tum log Unki nubuwwat ko jhutlaoge to aur kya jhutlaoge, phir to Injeel ko bhi jhutlana padega. Jis mein Huzoor ﷺ ki nubuwwat ki khud khabri di gayi hai. Phir Taurait ko bhi jhutlana padega jis mein Unki nubuwwat ki baat ki gayi hai. Phir Quran paak ko bhi jhutlana padega jo Muhammad ﷺ ko aakhri nabi qaraar deta hai aur sab se badi baat ye hai ke agar tumhara nabi, Muhammad ﷺ ki nubuwwat ko jhutlata to wo un munazron ki kya taujeeh pesh karta jo nubuwwat ka dawa karne se kayi saal pehle Isai paadriyon (Christian pastors) se Muhammad ﷺ ki nubuwwat aur Islam ke aakhri deen hone par karta raha tha. Isliye Imama Hashim! Tum in chizon ke bare mein bahes karne ki koshish mat karo jin ke bare mein tumhein sire se kuch pata hi nahin hai. Tumhein na us mazhab ke bare mein pata hai jis par chal rahi ho aur na us ke bare mein jis par tum baat kar rahi ho.”

Tehreem ne do tok andaaz mein kaha.

“Aur main ek cheez bata dun tumhein…… deen mein koi jabr nahin hota….. Tum log Muhammad ﷺ ki nubuwwat ke khatm hone ka inkaar karte ho to hamare Paighambar ﷺ ko koi farq nahin padta.”

“Magar ham Muhammad ﷺ ki nubuwwat par yaqeen rakhte hain.”Imama ne us baat par zor dete hue kaha.

“To phir ham bhi Injeel (Bible) par yaqeen rakhte hain, use Ilhami kitaab maante hain, hazrat Isa Alaihissalaam ki nubuwwat par yaqeen rakhte hain to kya ham christian hain? Aur ham to hazrat Musa Alaihissalaam aur hazrat Dawud Alaihissalaam ki nubuwwat par bhi yaqeen rakhte hain to kya ham yahoodi hain?” Tehreem ne kuch tamaskhar se kaha.

“Laikin hamara deen Islam hai, kyun ke ham Muhammad ﷺ ke pairokaar hain aur ham un paighambaron par yaqeen rakhne ke bawajood na Isaiyyat (Christianism) ka hissa hain na yahodiyat (Judaism) ka, bilkul isi tarah tum logon ka nabi hai kyun ke tum us ke pairokaar ho. Waise tum log to hamein bhi musalman nahin samajhte. Abhi tum israar kar rahi ho ke tum Islam ke firqa ho……. Jab ke tumhare nabi aur uske baad aane wali tumhari jama’at ke tamaam leaders ka daawa hai ke jo Mirza ki nubuwwat par yaqeen nahin rakhta wo musalmaan hi nahin hai…….. To Islam se to tum log tamaam musalmanon ko pehle hi kharij kar chuke ho.”

“Aisa kuch bhi nahin hai….. Main ne aisa kab kaha hai?”Imama ne qadre ladkhadaye hue lehje mein kaha.

“To tum apne walid se zara is maamle mein discuss karo…….. Wo tumhein khaasi up to date information denge is baare mein……. Tumhare mazhab ke khaase sar karda rehnuma hain wo…….

Tehreem ne kaha. “Aur jo kitabein tum hamein pesh kar rahi ho…… Unhein khud padha hai tum ne………Nahin padha hoga ……… Warna tumhein pata hota un sar karda rehnumaon ke bare mein.”

Jaweriya Tehreem ki is sari guftgu ke dauraan khamoosh hi rahi thi, wo sirf kan ankhiyon se Imama ko dekhti rahi thi. “Allah ta’ala kehta hai ke Muhammad ﷺ us ke aakhri Nabi hain aur mere Paighambar ﷺ is par gawahi dete hain ke wo Allah ke aakhri Nabi hain. Aur meri kitaab mujh tak ye dono batein bahot saaf, wazeh aur do tok andaaz mein pahoncha deti hai to phir mujhe kisi aur shakhs ke saboot aur ailaan ki zaroorat nahin, samjhin?”

Tehreem ne ek ek lafz par zor dete hue kaha.

“Behtar hai tum apne mazhab ko ya hamare mazhab ko zair-e-bahes lane ki koshish na karo. Itne saalon se dosti chal rahi hai, chalne do……….”

“Jahaan tak tumhare ghar na aane ka talluq hai to haan ye baat bilkul thik hai ke mere waldain ko tumhare ghar aana pasand nahin. Yahan school mein tum se dosti aur baat hai. Bahot se logon se dosti hoti hai hamari aur dosti mein aam taur par mazhab aade nahin aata laikin ghar mein aana jana…….. kuch mukhtalif chiz hai…. Unhein shayad mere Isai ya Yahoodi ya Hindu dost ke ghar jane par aitraaz na ho laikin tumhare ghar jane par hai…… Kyun ke wo log apne mazhab ko maante hain, wo apne aap ko musalmaan nahin kehte. Jis mazhab se ta’lluq hota hai wahi batate hain aur ye bhi haqeeqat hai ke jitna tum logon ko na pasand kiya jata hai utna un logon ko nahin kiya jata kyun ke tum log sirf paise ke husool aur ache mustaqbil ke liye naya mazhab ikhteyaar kar ke hamare deen mein ghusne ki koshish kar rahe ho magar christian, hindu ya yahoodi aisa nahin karte.”

Imama ne be ikhteyaar toka. “Kis paise ki baat kar rahi ho tum? Tum hamari family ko jaanti ho……..Ham log shuru se hi bahot ameer hain. Hamein kaunsa rupya mil raha hai is mazhab par rehne ke liye.”

“Haan tum log ab bade khush haal ho, magar shuru se to aise nahin the. Tumhare dada musalman the magar ghareeb aadmi the. Wo kaasht-kaari karte the aur ek chote kaasht-kaar the. Rabvah se kuch fasle par unki thodi bahot zameen thi. Phir tumhare taaya ne apne kisi dost ke tawassut se wahan jana shuru kar diya aur ye mazhab ikhteyaar kar liya aur be tahaasha ameer ho gaye kyun ke unhein wahan se bahot zyada paisa mila. Phir aahista aahista tumhare walid aur tumhare chacha ne bhi apna mazhab badal liya. Phir tum logon ka khaandaan is mulk ke mutamavvil tareen khaandaanon mein shumaar hone laga aur ye kaam karne wale tum log wahid nahin ho. Zyada tar isi tariqe se logon ko is mazhab ka pairokaar banaya ja raha hai.”

Imama ne bhadakte hue uski baat ko kaata.”Tum jhoot bol rahi ho.”

“Tumhein yaqeen nahin aa raha to tum apne ghar walon se puch lena ke is qadr daulat kis tarah aayi un ke paas…. Aur abhi bhi kis tarah aa rahi hai. Tumhare walid us mazhab ki tableegh karte hain. Har saal lakhon dollers aate hain, Inhi ghair mulki machineries aur NGOs se…….” Tehreem ne kuch tehqeer aamez andaaz mein kaha.

“Ye jhoot hai, safed jhoot.”Imama ne be-ikhteyaar kaha.” Mere baba kisi se koi paisa nahin lete. Wo agar firqe ke liye kaam karte hain to is mein ghalat kya hai? Kya dusre firqon ke liye kaam nahin kiya jata? Dusre firqon ke bhi to ulma hote hain ya aise log jo unhein support karte hain.”

“Dusre firqon ko european machinaries se rupya nahin milta”

“Mere baba ko kahin se kuch nahin milta.”Imama ne ek baar phir kaha. Tehreem ne uski baat ke jawab mein kuch nahin kaha. Wo uth khadi hui.

Imama ne use jate hue dekha aur phir gardan mod kar apne paas baithi Jaweriya ki taraf dekha.

“Kya tum bhi mere bare mein aisa sochti ho?”

“Tehreem ne ghusse mein aakar tum se ye sab kuch kaha hai. Tum uski baaton ka bura mat maano.” Jaweriya ne use tasalli dene ki koshish ki.

“Tum in sab baaton ko chodo…… Aao class mein chalte hain. Break khatm hone wali hai.” Jaweriya ne kaha to wo uth khadi hui.


Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 30


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-32/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *