Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 105

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Sikandar aur Tayyab Salar ko us raat wapas nahin le kara aye, wo us raat hospital mein hi raha. Agle din uske jism aur soojan mein kaafi kami waaqe ho chuki thi. Wo donon 11 baje ke qareeb use ghar le aaye. Usse pehle police ke do ahel kaaron ne usse ek lamba chauda tehreeri bayaan liya tha.

Sikandar aur Tayyaba ke sath apne kamrey mein daakhil hote hue pehli baar usne apni khidkiyon par lagi hui mukhtalif models ki un nude tasweeron ko dekha to use be ikhteyaar sharm aayi. Tayyaba aur Sikandar bahot baar uske kamrey mein aate rahe the aur wo tasweerein unke liye koi naa qaabil-e-aitraaz cheez nahin thi.

“Tum ab aaram karo. Main ne tumhare fridge mein phal aur juice rakhwa diya hai. Bhook lage to kha lena ya phir mulaazim ko bulwa lena, wo nikaal dega.”

Tayyaba ne usse kaha. Wo apne bed par leta hua tha. Wo donon kuch der uske paas rahe phir khidki ke pardey babarar kar ke use sone ki taakeed karte hue chale gaye, wo unke bahar nikalte hi uth kar baith gaya. Usne kamrey ke darwaazey ko andar se lock kiya. Khidkiyon ke pardey hata kar usne bahot tezi se un par lagi hui tamaam taweeron ko utaarna shuru kar diya. Poster, tasweerin, cut outs. Usne chand minute mein poora kamra saaf kar diya tha, washroom mein jaa kar usne bath tub mein unhein phenk diya.

Washroom ki light jalaane par uski nazar apne chehrey par padi thi. Wo buri tarah sooja hua aur Neela ho raha tha wo aise hi chehrey ki tawaqqo kar raha tha. Wo ek baar phir washroom se nikal aaya. Uske kamrey mein pornography ke bahot se magazine bhi pade the. Wo unhein utha laaya. Usne unhein bhi bath tub mein phenk diya, phir wo baari baari apne rack mein padi hui gandi videos utha kar usne se tape nikaalne laga. Aadhe ghantey ke andar uska carpet tape ke dher se bhara hua tha.

Usne wahan maujood tamaam videos ko zaaya kar diya aur tape ke us dher ko utha kar bath tub mein phenk diya aur lighter ke saath usne unhein aag laga di. Ek chingaari bhadki thi aur tasweeron aur tape ka wo dher jalne laga tha usne exhaust on kar diya tha. Bathroom ki khidkiyaan khol din wo us dher ko is liye jalaa raha tha kyun ke wo us aag se bachna chahta tha jo dauzakh mein use apni lapeton mein le leti.

Aag ki laptein tasweeron aur tape ke us dher ko khaa raha thin. Yun jaise wo sirf aag ke liye banayi gayi thin.

Wo palkein jhapkey baghair bath tub mein aag ke us dher ko dekh raha tha yun jaise wo is waqt kisi dauzakh ke kinaarey khada tha. Ek raat pehle us pahaadi par us haalat mein Islamabad ki raushniyon ko dekhte hue usne socha tha ke wo uski zindagi ki aakhri raat thi aur wo uske baad dobara kabhi un raushniyon ko nahin dekh sakega.

Usne hizyaani haalat mein gala phaad kar cheekhte hua baar baar kaha tha. “Ek baar, sirf ek baar, mujhe mauqa dein. Sirf ek mauqa, main dobara gunaah ke paas tak nahin jaaunga. Main kabhi gunaah ke paas nahin jaaunga.” Use ye mauqa de diya gaya tha ab us waadey k opura karne ka waqt tha. Aag ne un sab kaaghazon ko raakh bana diya tha jab aag bujh gayi to usne paani khol kar pipe ke saath us raakh ko bahana shuru kar diya.

Sar palat kar dobara wash basin ke saamne aa kar khada ho gaya. Uske galey mein maujood soney ki chain ko wo log utaar kar le gaye the magar uske kaan ki lau mein maujood diamond tops wahin tha. Wo platinum mein judaa hua tha aur un logon ne us par koi tawajjoh nahin di thi. Shayad unka khayaal hoga ke wo koi maamuli patthar ya phir zarqoon hoga ya phir shayad uske lambey baalon ki wajah se uske kaan ki lau chhupi rahi hogi.

Wo kuch der aayine mein khud ko dekhta raha phir usne kaan ki lau mein maujood tops utha kar wash basin ke paas rakh diya. Shaving kit mein maujood clipper nikaal kar apne baal kaatne laga. Badi be rehmi aur bey dardi ke saath. Wash basin mein behta hua paani un baalon ko apne saath baha kar le jaa raha tha.

Razor nikaal kar usne shave karni shuru kar di. Wo jaise apni tamaam nishaaniyon se peecha chuda raha tha. Shave karne ke baad usne apne kapdey nikaale apne hathon par bandhi pattiyaan kholin aur shower ke niche jaa kar khada ho gaya. Wo pura ek ghanta apne poore jism ke ek ek hissey ko kalma padh padh kar saaf karta raha. Yun jaise wo aaj pehli baar Islam se muta’aarif hua ho. Pehli baar musalmaan hua ho.

Washroom se bahar aa kar usne fridge mein rakhe seb ke chand tukdey khaye aur phir soney ke liya let gaya. Dobara uski aankh alarm se khuli jise usne soney se pehle lagaya tha. 2 baj rahe the.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-106/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-104/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *