Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
School ke project ko shuru karne se pehle uski Sikandar Usman se baat hui thi. Usne mukhasar alfaaz mein unhein us project ke barey mein bataya tha. Wo kisi mudaakhlat ke baghair uski baat sunte rahe phir unhon ne badi sanjeedgi se kaha.
“Ye sab kuch kyun kar rahe ho tum?”
“Papa! Main is kaam ki zarurat mehsoos karta hoon logon ko……….” Unhon ne uski baat kaat di.
“Main uski baat nahin kar raha.”
“Phir aap kis cheez ki baat kar rahe hain?” wo hairaan hua.
“Main tumhare lifestyle ki baat kar raha hoon.”
“Mere lifestyle ko kya hua hai?” wo chaunka. Sikandar Usman use dekhte rahe.
“Tum ne Quran paak hifz karne ke barey mein hamein us waqt bataya jab tum hifz kar chuke the, okay fine, main ne kuch nahin kaha. Tum Haj par jaana chahte the mere is silsiley mein kuch tahaffuzaat the magar main ne tumhein nahin roka. Tum ne har tarah ki social life khatm kar di, main ne aitraaz nahin kiya. Tum mazhab mein zarurat se zyada dilchaspi lene lage, namaaz shuru kar di wo bhi masjid mein, main ne phir bhi kuch nahin kaha. Tum ne business karne ki bajaye job karna chahi wo bhi yahan nahin America mein, main ne tumhein karne di. Ab tum ek school kholna chah rahe ho. Ab zaruri ho gaya hai ke ham is tamaam maamley par kuch sanjeedgi se baat kar lein.” Sikandar Usman bey had sanjeeda the.
“Tumhein andaaza hai ke tumhara ye lifestyle tumhein hamare social circle ke liya naa qaabil-e-qubool bana dega. Pehle tum ek intehaa par the ab tum dusri intehaa par ho. 25-26 saal ki umr mein jin kaamon mein tum apne aap ko involve kar rahe ho wo ghair zaruri hain. Tumhein apne career par dhyaan dena chahiye aur apni lifestyle mein tabdeeli lana chahiye. Ham jis class se talluq rakhte hain wahan mazhab se aisi wabastagi bahot se masaail paida kar deti hai.” Wo sar jhukaaye unki baatein sun raha tha.
“Aur sirf tumhare liye hi nahin, hamare liye bhi bahot se masaail paida ho jayenge. Tum khud socho tum logon ko kya impression dene ki koshish kar rahe ho. Kal ko ham ya tum khud jab apni class ki kisi achi family ki ladki ke sath shadi karna chahoge to tumhari ye mazhabi wabastagi tumhare liye kitne masaail paida karegi tumhein andaaza hai. Koi bhi family Sikandar Usman ka naam dekh kar ya tumhari qualifications dekh kar apni beti ki shadi tum se nahin kar degi. Upar se tum ne is umr mein social work ki thaan li hai jab tumhari umr ke log apne career ke piche bhaag rahe hote hain. Tum UNICEF mein bahot social work karte rahe ho utna hi kaafi hai. Zaruri nahin hai ke tum ye sab kuch apni personal life mein bhi shuru kar do. Jo paisa tum us school par aur logon ki zindagiyan behtar banane mein zaaye karoge use tum apni aayinda aane wali naslon ke liye mehfooz karo. Unhein aasaaishein dene ke liye, ek aaram dah lifestyle dene ke liye. Apne aap par kharch karo, 300 saal ki zindagi nahin hai tumhari, phir itni si umr mein budhapey ko kyn sawaar kar liya hai tum ne apne aasaab par. Ek haadsa hua, bura hua. Tum ne sabaq seekha, bahot acha kiya, bas itna kaafi hai. Iska ye matlab nahin hai ke tum is umr mein tasbeeh pakad lo.” Wo ruke. “Kya meri baat ko samajh rahe ho?” Unhon ne pucha.
“Papa! Main ne tasbeeh nahin pakdi hai.” Salar ne unke sawaal ka jawaab dene ki bajaye kaha.
“Aap ne zindagi mein tawazun barqaraar rakhne ki baat ki, main wo tawazun hi barqaraar rakhne ki koshish kar raha hoon. Main apne career mein kahan par khada hoon aap achi tarah jaante hain. Meri kaar-kardagi se aap waaqif hain.”
“Main waaqif hoon isliye keh raha hoon ke agar tum isi tarah ki sargarmiyon mein hud ko involve na karo to tum bahot aage jaa sakte ho.” Sikandar ne kaha.
“Main kahin nahin jaa sakta. Agar aap ye samajhte hain ke main ye sab kuch chod doon to career ki kisi mount Everest tak pahonch jaaunga to aisa nahin hai.” Us ne tawaqquf kiya.
“Tum apne mustaqbil ke barey mein socho. Apni shadi ke barey mein, aisi approach rakhne par tum ko kahan qubool kiya jayega.”
“Main ne socha hai papa! Main shadi nahin karna chahta.”
Sikandar hansey.
“Bachkaana soch hai. Har ek yahi kehta hai. Tumhein to apna ‘adventure’ yaad rakhna chahiye.” Unka ishaara kis taraf tha wo jaanta tha wo bahot der kuch nahin keh saka. Ye bhi nahin ke wo us adventure ki wajah se shadi nahin karna chahta tha.
“Mujhe yaad hai.” Bahot der baad usne maddham aawaz mein kaha.
“Main aap ke social circle mein bahot pehle hi misfit ho chuka hoon aur main yahan jagah banane ki koshish nahin karunga. Mujhe is social circle mein koi naya talluq ya rishta bhi qaayem nahin karna. Mujhe parwaah nahin ke log, mere bahen bhai mera mazaaq udaayenge ya mujh par hansenge. Main is sab ke liye zehni taur par tayyar hoon. Jahan tak sawaal is project ka hai, mujhe ise shuru karne dein. Mere paas bahot paisa hai. Is project ko shuru karne ke baad bhi mujhe footpath par rehne nahin padega. Kuch logon ko jism ki bimari hoti hai, kuch logon ko rooh ki. Jism ki bimari ke liye log doctor ke paas jaate hain. Rooh ki bimari ke liye wahi karte hain jo main kar raha hoon, jo main karna chahta hoon. Main is paise se sab kuch khareed sakta hoon sirf sukoon nahin khareed sakta. Zindagi mein pehli baar main sukoon haasil karne ke liye is paise ko invest kar raha hoon. Ho sakta hai mujhe sukoon mil jaaye.” Sikandar Usman ki samajh mein nahin aayawo usse kya kahein.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-123/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-121/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar