Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 133

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Lahore mein apne qayaam ke dauraan wo baa qaidgi se Dr Sabt Ali ke paas jaata tha. Unke haan har Isha ki namaz ke baad kuch log jama hote the. Dr sahab kisi na kisi mauzoo par baat kiya karte the. Baaz dafa us mauzoo ka intekhaab wo khud karte baaz dafa unke paas aane wale logon mein se koi un se sawaal karta aur phir ye sawaal us raat ka mauzoo ban jaata. Aam scholars ke bar aks Dr Sabt Ali sirf khud nahin bolte the na hi unhon ne apne paas aane wale logon ko sirf saamey bana diya tha, balke wo aksar apni baat ke dauraan hi chhote mote sawaalat bhi karte rehte aur phir un sawaalat ka jawaab dene ke liye na sirf logon ki hausla afzaai karte balke unki raaye ko bahot zyada ahmiyat bhi dete. Unke aitraazat ko bade tahammul aur burdbaari se sunte. Unke paas aane walon mein sirf Salar Sikandar tha jis ne kabhi koi sawaal nahin kiya na kabhi unke kisi sawaal ka jawaab dene ki koshish ki. Wo kabhi kisi baat par aitraaz karne walon mein shaamil na hua na kisi baat par raaye dene walon mein.

Wo Furqan ke sath aata. Furqan na aata to akela chala aata. Kamrey ke aakhri hissey mein apni makhsoos jagah par baith jaata, khamushi se Dr sahab aur wahan maujood logon ko sunta. Baaz dafa apne dayen bayen aa baithney walon ke istefsaar par apna ek jumla pesh kar deta.

“Main Salar Sikandar hoon aur ek bank mein kaam karta hoon.”

Wo jab tak America mein raha tab har haftey ek baar wahan se Dr Sabt Ali ko phone karta raha magar phone par Dr sahab ke sath hone wali guftgu bahot mukhtasar aur ek hi nauiyat ki hoti thi. Wo call karta, Dr sahab receive karte aur ek hi sawaal karte.

Wo pehli baar us sawaal par tab chaunka tha jab wo Pakistan se chand din pehle America aaya tha aur Dr sahab uski waapsi ka puch rahe the. Use ta’ajjub hua tha.

“Abhi to nahin…………..” usne kuch naa samajhte hue kaha tha. Baad mein wo sawaal use kabhi ajeeb nahin laga kyun ke wo laa sha’oori taur par jaan gaya tha ke wo kya puch rahe the.

Aakhri baar unhon ne wo sawaal usse tab kiya tha jab wo Imama ki talaash mein redlight area mein pahoncha tha. Paris wapas pahonchne ke ek haftey ke baad us ne hamesha ki tarah unhein call kiya tha. Hamesha jaisi guftgu ke baad baat is sawaal par aa pahonchi thi.

“Wapas Pakistan kab aa rahe hain?”

Bey ikhteyaar us ka dil bhar aaya. Use khud ko compose karne mein badi der lagi.

“Agle maah aa jaunga. Main resign kar raha hoon. Wapas aa kar Pakistan mein hi kaam karunga.”

“Phir theek hai, aap se agle maah mulaqaat hogi.” Dr Sahab ne tab kaha tha.

“Dua kijiyega.” Salar aakhri mein kehta.

“Karunga, kuch aur………..?”

“Aur kuch nahin. Allah hafiz……….” Wo kehta.

“Allah hafiz.” Wo jawaab dete. Guftgu ka ye silsila Pakistan aane tak jaari raha. Jab wo unke paas baa qaaidgi se jaane laga to ye silsila khatm ho gaya.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-134/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-132/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *