Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 172

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Agley kuch dinon mein use Dr Sabt se uski talaash ke silsiley mein aur khabrein mausool hoti rahi thin. Unke zaraa-e-maalumaat jo bhi the magar wo bey had baa wasooq the. Use har jagah dhunda jaa raha tha. Medical college, hospital, class fellows……… Hostel, room mates aur friends………Hashim Mubeen ne use dhundney ke liye news paper ka sahaara nahin liya tha. Media ki madad lene ka nateeja unke liye ruswa kun saabit hota.

Wo jis had tak uski gumshudgi ko khufiya rakhne ki koshish kar sakte the kar rahe the, magar wo police ki madad haasil kiye hue the. Unki jama’at bhi is silsiley mein unki puri madad kar rahi thi.

Wo log Sabeeha tak pahonch gaye the magar wo ye jaan nahin paaye the ke wo Lahore aane ke baad uske ghar gayi thi. shayad ye Sabeeha ke un dinon Peshawar mein hone ka nateeja tha jin dinon Imamaapne ghar se chali aayi thi. warna shayad Sabeeha aur uske ghar waalon ko bhi kuch masaail ka saamna karna padta.

Maryam ne Sabeeha ko Imama ki apne haan maujoodgi ke barey mein nahin bataya. Usne mukammal taur par yun zaahir kiya tha jaise Imama ki is tarah ki gumshudgi baaqi students ki tarah uske liye bhi hairaan kun baat thi.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-173/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-171/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *