Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Gunaah ka bojh kya hoa hai aur aadmi apne gunaah ke bojh ko kis tarah qayaamat ke din apni pusht se utaar phenkna chahega kis tarah usse door bhaagna chahega kis tarah use dusrey ke kandhey par daal dena chahega. Ye uski samajh mein Haram shareef mein pahonch kar hi aaya tha. Wahan khade ho kar wo apne paas maujood aur aane wali saari zindagi ki daulat ke ewaz bhi kisi ko wo gunaah bechna chahta to koi ye tijaarat na karta. Kaash aadmi kisi maal ke ewaz apne gunaah bech sakta. Kisi ujrat ke taur par dusron ki nekiyaan maangney ka haq rakhta.
Laakhon logon ke us hujoom mein do safed chaadarein odhey kaun jaanta tha Salar kaun tha? Uska IQ level kya tha, kise parwaah thi. Us ke paas kaun si aur kahan ki degree thi, kise hosh tha. Usne zindagi ke maidaan mein kitne taalimi record todey aur banaye the, kise khabar thi. Wo apne zahen se kaun se maidaan taskheer karne wala tha, kaun rashk karne wala tha.
Wo wahan us hujoom mein thokar kha kar girta, bhagdad mein raunda jaata, uske upar se guzarne wali khilqat mein se koi bhi ye nahin sochta ke unhon ne kaise dimaagh ko kho diya tha. kis IQ level ke nayaab aadmi ko kis tarah khatm kar diya tha.
Use duniya mein apni auqaat ka pata chal gaya tha. Agar kuch mughaalta reh bhi gaya tha to ab khatm gaya tha. Agar kuch shubah baaqi tha to ab door ho gaya tha.
Fakhr, takabbur, rashk, ana, khud pasandi, khud sataaishi ke har bache hue tukdey ko nichod kar us ke andar phenk diya gaya tha. Wo in hi aalaishon ko door karwane ke liye wahan aaya tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-114/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-112/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar