Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 56

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Salar khilaaf-e-maamul der se utha. Ghadi dekhte hue usne college na jaane ka faisla kiya. Sikandar aur Tayyaba Karachi gaye hue the aur wo ghar par akela tha, mulaazim jis waqt naashta le kar aaya wo TV on kiye baitha tha.

“Zara Naasera ko andar bhejna” Use milaazim ko dekh kar kuch yaad aaya. Uske jane ke chand minute baad Naasera andar dakhil hui.

“Ji Sahab! Aap ne bulaya hain?” Adhed umr mulaazema ne andar dakhil hote hue kaha.

“Haan, main ne bulaya hai. Tum se ek kaam karwana hai.” Salar ne TV ke channel badalte hue kaha.

“Naasera! Tumhari beti Waseem ke ghar kaam karti hai na?” Salar ab remote rakh kar uski taraf mutawajjah hua.

“Hashim sahab ke ghar?” Naasera ne kaha

“Haan, un hi ke ghar.”

“Haan ji karti hai.” Wo kuch hairaan ho kar uska munh dekne lagi.

“Kis waqt jati hai wo unke ghar?”

“Is waqt unke ghar par hi hai………Kya hua hai…………Salar sahab?” Naasera ab kuch pareshaan nazar aane lagi.

“Kuch nahin…….Main sirf ye chahta hoon ke tum uske paas jao, Ye mobile use do aur usse kaho ke ye Imama ko de de.”

Naasera hakka bakka reh gayi. “Main aap ki baat nahin samjhi.”

“Ye mobile apni beti ko do aur usse kaho kisi ko bataye baghair ye Imama tak pahoncha de.”

“Magar kyun?”

“Ye jaanna tumhare liye zaroori nahin hai, tumhein jo kaha hai wo karo.” Salar ne naagawari ke aalam me use jhidka.

“Laikin agar kisi ko waha pata chal gaya to………..” Naasera ki baat ko usne durushti se kaat diya.

“Kisi ko pata tab chalega jab tum apna munh khologi…… Aur tum apna munh khologi to sirf tumhein aur tumhari beti ko nuqsaan hoga aur kisi ko nahin………..Laikin agar tum apna munh band rakhogi to na sirf kisi ko pata nahin chalega balke tumhein bhi khaasa fayda hoga.”

Naasera na is baar kuch kahe baghair khamushi se wo mobile pakad liya. “Main phir keh raha hoon……… Kisi ko is mobile ke barey mein pata nahin chalna chahiye.” Wo apna wallet nikaal raha tha.

Naasera sar hilatey hue jane lagi. “Ek minute thehro.” Salar ne use roka. Wo ab apne wallet se kuch currency note nikaal raha tha.

“Ye le lo.” Usne unhein Naasera ki taraf badha diya. Naasera na ke halki si muskurahat ke sath wo note pakad liye. Wo jin gharon mein kaam karti thi waha ke bachon ke aise bahot se raazon se waqif thi. Use bhi paise kamane ka mauqa mil gaya tha. Usne fauri andaza yahi lagaya tha ke Imama aur Salar ka chakkar chal raha tha aur ye mobile wo tohfa tha jo use Imama ko dena tha. Magar use hairaani is baat par ho rahi thi ke is sab ka use pehle pata kyun nahin chala………. Aur phir Imama………. Uski to shadi ho rahi thi……….. Phir wo kyun is tarah ki harkatein kar rahi thi?

“Aur dekho zara mujh, main Imama bibi ko kitna sidha samajhti thi.” Naasera ko apni be khabri par afsos ho raha tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-57/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 55



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *